Ankahi dastaan
Kuch kehna chahti hu khud se..
Band karke darwaje saare bas khudme jeena chahti hu... Kon kya kahega ye sochkar khud ke sapno ko taala lagana ab band karna chahti hu... Asani se mil jayega sab ye veham tha mera par ab dheere dheere use todna chahti hu...
Dusro ke liye bhut jii liya... Ab thoda khudke liye jeena chahti hoon!!!
Haan tod ke saare bandhn ab me thoda uper udna chahti hoon...
Bhut karli ladai sabse khudko sahi hu btane ke liye... Ab uhne btana chod kar kuch karke dikhana chahti hoon.. Jin jinhone mere sapno ke pankh abhi ud nhi payenge keh diya tha.. Unko thoda apna asali hausla dikhana chahti hoon!!
Haan me kuch kehna chahti hoon..
Tod ke saare bandhn ab me thoda uper udna chahti hoon...
Comments
Post a Comment
Aapka comment humein bahut pasand aaya! Kripya apne comments mein shishtachar aur samman ka dhyan rakhein. Hum apne blog ke comments section mein spam aur abusive comments ko nahi allow karte hain